Wazoo ka best Procedure in Urdu

 

Wazu k 4 Faraiz, 12 Sunnate, 26 Mustahab hai…

Wazu ke farayiz
Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam farmate hai ke wazu me 4 farz
hai,
1. Chehera Dhona: chehera yahantak dhona ke, apne balo ki ibteda se
leker thuddi ke niche tak aur ek kan ke lov(corner) se leker dusre kan
ke lov tak
2. Apne donu haton ko koniyoun sameth dhona
3. Chauthayi sarka masa karna
4. Apne donu pairon ko takhno sameth dhona
Ye hai Wazu ke 4 Faraiz
Farz use kehete hai jise karna zarori hai aur uske bagair wazu
mukammil nahi hota,isiliye jab aap wazu karte hai to zyada ahtiyath
rakhkhe ke jo hisse(parts) wazu me dhona farz hai use achchi tarikhe
se dhole warna wazu nahi hoga aur jab wazu hi nahi howa to namaz bhi
nahi hogi.
wazu ki niyath
Bismillaahi wal hamdu lillaahi Ata wadda’oo lirafayil hadas
yun to wazu ki niyatein buhat sari hai,usme se ek ya bhi hai. Apko jo
ati hai woh padle magar wazu ki niyath karne se pehle”Bismillaahi wal
hamdu lillaahi ” kheliya kare kyun ki
Pyare Aqa swallallaahu alai hi wa sallam farmate hai ke “jo shaks wazu
shuru karne se pehle Bismillaahi wal humdu lillaahi” kahega to Allaah
azzawajal,use jab tak uska wazu bhakhi rahega tab tak uske namaye amal
me pal pal nekiya ata farmayega chahe woh kuch ibaadat kare ya na
kare”
dekhiye sirf thudi si tawazzu deker agar hum wazu ki niyat karne se pehle  Bismillaahi wal hamdu lillaahi kahe to hamare namaye amal me bhahut sare nekiya milenge
Wazoo ka best Procedure in Urdu
Wazu ka tarikha
Wazu shuru karne se phele wazu ki niyath karle: Jise wazu ki niyath Arabi me ati hai woh Arabi me karle aur jise nahi ati hai woh sikhne ki koshish kare aur sikhne tak tho woh apni zuban me karle aur apni zuban me istarha kare “Ya Allaah my wazu karta hoon paki hasil karne ke liye” agar hum itna kahe to hamari wazu ki niyath ho jayegi magar Arabi me karne ki koshish kare kyun ki Arabi me niyath ya dusre duwayein karna woh bhi Pyare Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki sunnath hai aur
Niyath karlene ke bad apne donu haton ko pahunche (Wrist) tak dho lein: agar aap anghoti pehne hai tho ye khas khayal rakkhen ke anghoti ko bhi harkat de,ta’aki anghoti ke peechewali jo ungalika hissa hai woh bhi bhig jaye kyun ki uska bhi dhona farz hai aur us hisse ko nahi bhigayenge tho hamara wazu nahi hoga aur wazu nahi hoga to hamari namaz bhi nahi hogi kyun ke Pyare Aqa swallallahu alai hi wasallam farmate hai ke “Wazu Namaz ki kunji hai aur namaz wazu ki kunji hai”