Shekayat na karta zamane se koi
Shekayat na karta zamane se koi,
Agar man jata manane se koi.
Phir kisi ko yaad karta na koi,
Agar bhool jata bhulane se koi.
Sach kaha hai kisi ne
Sach kaha hai kisi ne ke
Waqt ke sath har koi badal jata hai,
Ghalti uski nahi jo bdlta hai,
Ghalti uski hoti hai jo pahle jesa reh jata hai.
Sachey pyar mein nikle aansu
Sachey pyar mein nikle aansu aur
Rote hue bache ke aansu ek saman hote hai,
Kyun ke dono ko pata to hai ke dard kya hai
Par kisi ko bata nahi sakte.
Akela hoon Magar
Akela hoon Magar
Abaad Kar leta hoon Veerany
Bohat Roye Gi Mere baad Meri Shaam-e-Tanhai
Phir kahin door se ik baar
Phir kahin door se ik baar sada do mujko,
Meri tanhai ka ehsaas dila do mujhko,
Tum to chand ho tumhe meri zaroorat kya hai,
Main diya hoon kisi chaukhat pe jala do mujko.
Muddat ke baad mile toh
Muddat ke baad mile toh mera naam hi poochh leeya
Faraz!!!
Rukhsat ke waqt jisne kaha tha..
Tum bahut yaad aaoge.
Dil na umid to nahi
Dil na umid to nahi,
Nakam hi to hai,
Lambi hai gam ki shaam magar,
Shaam hi to hai.
Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Main Wapis Laut Jata Hoon
Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nai Rahein Mubarak Hoon
Magar Phir Ae Mere Humdum
Mujhe Itna To Btla Do
K Wapis Kiss Taraf Jaun
Kahan Se Sath Lai Thay
Mujhe Itna To Smjha Do
Agar Aisa Nahi Mumkin
To Mujh Ko Is Trha Toro
K Mai Yaksar Bikhar Joun
Bhatakne Se To Behter Hai
Tumhary Pass Mar Joun…!!